landa bazar 1st ep song
Rate:
5.0
9 ratings
Views:
7,723
From : aaroojf
Added: Jul 11, 2008
Mein bhala kya kahon pyar kya cheez hai Pyar lafzon mein kesay samo paey ga Pyar awaaz hai ju sunae na day Pyar ek roop hai ju dikhae na day Pyar wo waqt hai ju badalta nahin Pyar lamha hai ju aa ker talta nahin Mein bhala kya kahon pyar kya cheez hai Pyar jageer hai ju kissi ke nahin Pyar taqdeer hai ju likhi na gae Pyar saddion purani koi dasaatan Ju sunae gae tu suni na gae Mein bhala kya kahon pyar kya cheez hai Pyar jalwa-e-laila-e-sehra nahin Jis ko aashiq nigaho men bhur jaey ga Pyar majnon ke aankhon mein hota nahin Aankh durya hai churh kay utar jaey ga Mein bhala ky akahon pyar kya cheez hai Pyar pholon sa nazauk badan hai koi Jisko nafrat k sholon mein julna b hai Jis ke qismat mein likhay hein daar o rasm Jis ko sooli pay sajna sawarna bhi hai Jisko sohni k kuchay gharay ke tara Panion k bhnwar mein utarna b hai Mein bhala ky akahon pyar kya cheez hai Pyar jub jub zameen per utara gaya Zindagi tugh ko sadqay mein wara gaya Pyar zinda raha mattion mein magar Pyar jis nay kiya hai, wo maara gaya Mein bhala ky akahon pyar kya cheez hai Mein bhala kya kahon pyar kya cheez hai Pyar lafzon mein kesay samo paey ga
Category : Entertainment
Related Videos
hearts that they will now retreat when they realized they cant win this war they unleashed a wave of terrorism in Pakistan you might not remember in one blast in a market ...
Added: 3 months ago
Views: 2827
3.0
09:46