Ae Zuljionaah
Rate:
5.0
1 ratings
Views:
1,100
From : smma59
Added: Feb 13, 2008
Aye zuljana kya kia apne sawar ko Dilbande Mustafa shahe gardun waqaar ko Jab janta tha margaye sab khwaisho aqreba Phir kis pe chod aya gharibudayaar ko Aye zuljana kya kia apne sawar ko........ Maqtal se daudta hua khali phira hai kyun Wasvaas araha hai dile beqaraar ko Aye zuljana kya kia apne sawar ko........ Aye zuljana is tarhe aane ka fayda Jab khariyat se leke na aaya sawaar ko Aye zuljana kya kia apne sawar ko........ Kyun sar jhukae sharm se rota hai zaar zaar Kya khak par gira diya apne sawaar ko Aye zuljana kya kia apne sawar ko........ Kya hogaee yateem sakeena bala naseeb Kyun ro raha hai dekh ke is dil figaar ko Aye zuljana kya kia apne sawar ko........ Jis manzile akheer ka bachpan se shaukh tha Kya us jagha utara hai apne sawaar ko Aye zuljana kya kia apne sawar ko........ Aye Qais ahle shaam ne andhera kar diya Gul kar diya nabi ke charaghe mazaar ko Aye zuljana kya kia apne sawar ko........
Category : People