Shaurya
Rate:

2 ratings
Views:
6,689
From : panesarkaran
Added: May 2, 2008
Shaurya kya hai....... Voice of Shah Rukh Khan Shaurya Kya hai........ Thartharaati is dharti ko raundti Faujiyon ki ek paltan ka shor........ Ya sehme se aasmaan ko cheerta hua Bandookon ki salaami ka shor........ Shaurya Kya hai....... Hari wardi par chamakte hue Chand peetal ke sitaare..... Ya sarhad kaa naam de kar Andekhi kuchh lakeeron ki numaish.... Shaurya kya hai..... Door udte khamosh parinde ko Goliyon se bhoon dene ka ehsaas... Ya sholon ki barsaat se pal bhar mein Ek shahar ko shamshaan bana dene ka ehsaas.... Shaurya......... Behti Byaas mein kisi ke garm khoon ka Haule se surkh ho jaana....... Ya anjaane kisi jannat ki firaak mein Pal pal ka dosakh bante jaana..... Baaroodon se dhundlaye is aasmaan mein .... shaurya kya hai..... Waadiyon mein goonjte kisi gayon ke maatam mien Shaurya kya hai.... Shaurya..... Shaayad ek hausla..... Shaayad ek himmat..... Hamare bahaut andar... Mazahab ke banaye dayre ko todd kar Kisi ka haath thaam lene ki himmat..... Goliyon ke betahaasha shor ko Apni khamoshi se chunauti de paane ki himmat.... Marti maarti is duniya mein nihathe Datte rehne ki himmat.... Shaurya....... Aane waale kall ki khaatir....... Apne hisse ki kaynaat ko Aaj bacha lene ki himmat...... Shaurya kya hai.....
Category : Film

Related Videos

Also Try: